Tuesday, May 12, 2009

Shayris

Some favorite shayaris... (source: Internet)

Bahut khushiya hai aas-pass,
Mujhe khush karne ke liye,
Phir bhi koi waja doondhta hoon,
Shayad main muskuraane ke liye..!!!


Meine Khuda se ek dua maangi..
Dua mein apni maut Maangi..
Khuda ne kaha
maut to mein tujhko de sakta hoon magar!
Uska kya karu jisnay tere liye lambi umer maangi!!! ?


Dil hum kisi ka dukhtay nahi,
Kisi ko be-waja satatay nahi,
Humari dosti par bharosa rakhna,
Dost bana kar hum kisi ko bhulatay nahi.

Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota.
Har nakamiabi ka matlab haar nahi hota.
Tho kya agar hum tumko paana sake,
sirf paane ka matlab pyar nahi hota...


Na jane kis bat ki wo saja dete he,
meri hasti hui aankho ko rula dete he,
Abto muddat se khabar nahi aati unki,
Kya is tarah apno ko koi bhula dete he...

Aap to manzil ko mushkil samajte he..

Hum aap ko manzil samajte he,
Bada fark he apke or hamare nazariye me..
Aap hume sapna or hum aap ko apna samajte hai!!

unka vaada nahin hai laut aane ka,
fir bhi umeed par hum jiye jaayenge,
yeh intezar bhi unhi ki tarah pyaara hai,
kar rahe the,kar rahe hai or kiye jayenge.

Dil ka Zakhm Zuban par laaya nahin Karte,
Hum apni Aankhon se Aansoo bahaya nahin Karte,
Zakhm Kitne hi Gehre kyon na ho,
Hum apne Honton se Muskurahat hataya nahin Karte.

Dooriyan bahut hain par itna samajh lo,
paas rehkar bhi koi rishta khaas nahi hota.
Tum dil ke itne paas ho ki dooriyon ka ehsaas nahi hota

koi aankho aankho main baat kar leta hai,
koi aankho aankho main mulakat kar leta hai
bada muskil hota hai javab dena jab koi....
khamosh reh kar bhi aankho se sawal kar leta hai.

Jo palpal chalti rahe, use zindagi kehte hai,
jo harpal jalti rahe, use roshni kehte hai,
jo palpal khilte rahe, use mohabbat kehte hai,
jo saath na chode, use dosti kehte hai


Woh hanste hai haamare saamne,
Shayad hamain tadpaane ke liye,
Par hum to kambakht ro bhi nahi sakte,
Zamaane ko gum dikhane ke liye..!!!

Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega


Hasi ke raste pe chala karo,
khushiyo ki mehak liya karo,
pyar se dilon ko chuha karo,

jahan tumhe gum nazar aaye,
is nacheez ko yaad kiya karo!


Hawa mein bindas ud raha tha galib,
hawa mein baitab ud raha tha galib
hawa mein shandar ud raha tha galib,

fir...

fir kya...


ruk gai hawa gir gaya galib!!!

No comments:

Post a Comment